Tuesday 19 October 2010

...::: Tum Kon Piya (Urdu Poetry) :::...






Sunday 19 September 2010

Mujh Se Mil Ker

Mujh se bicher ker tere chehray pe ujalay per jaien
sheher ke log humien dekh ker kallay per jaien

main rahoon chup to sabhi cheeck parien wahshat se
main sawalat keroon hontoon pe talay per jaien

main nahi hota to faroon banay phirtay hain
dekh ker mujh ko jinhien jaan ke lallay per jatay hain

Aag per hath dharien raakh uthien wapas
baraf per paoon rkhien paoon main chalay per jaien

durd ki leher koi bhej meri duniya main
is se pehlay ke meri rooh main jallay per jaien

hum jo uljhien to sada buch bachaoo ho jaye
darmyan donoon main kuch chanay walay per jaien

agar kabhi hans de to wo noor dahn se niklay
mand pal bhar main sabhi chand ke halay per jaien

Thursday 16 September 2010

Tumhara Khat Mila Janaan By Wasi Shah

Kidher Jaoon Ga

Tujh se bichra to kidher jaoon ga
main to bechaini se mar jaoon ga

main to aisay nahi janne wala
chand doobay ga to ghar jaoon ga

motioon se bhara bartan hoon main
toot jaoon ga, bikher jaoon ga

main to sehma huwa sanata hoon
apni awaz se dur jaoon ga

main agar koi samndar bhi hoon
ik tere durd se bhar jaoon ga

waqt ke ruth se main farhat abbas
kahien chup chaap uter jaoon ga

Tuesday 14 September 2010

Wo Ik Shaksh Janti Ho Tum By Ahmed Hassan

Ik Mohabbat Ke Siwa

Ik Mohabbat Ke Siwa Koi Nahi Koi Nahi
Main Akeela Hoon Mera Koi Nahi Koi Nahi

Main ne Pocha tera kon hai is duniya main
us ne holay se kaha koi nahi koi nahi

hai her ik shaksh mulawas meri barbadi main
in main bejuram-o-bekhata koi nahi koi nahi

Apne din raat ko bechaini ko zaia hi samjh
Aye dil zaar tera koi nahi koi nahi

Apni awaz hi ab lout ke deti hai jawab
hai koi ahel-e-wafa ! koi nahi koi nahi

main to is haal main bhi Aalam-e-Iman main hoon
main nahi kehta Khuda koi nahi koi nahi

Jis se rishta ho khafa us se huwa jata hai
tujh se aye umer, khafa koi nahi koi nahi

Monday 30 August 2010

...::: Koi Shararat Kerte :::...

Tum Pass Hote to koi shararat kerte
Tujhe le ker bahoon main muhabbat kerte

Dekhtay teri ankhoon main neend ka khumar
Apni khoi hoi neendoon ki shikayat kerte

Teri ankhoon main apna aks dhoondte
Khud se bhi zaida teri chahat kerte

Ik dil hi tha wo bhi uske pass hi tha
Raat bhar jhag ker kis ki hifazat kerte

Sunday 29 August 2010

...::: Ik Teri Kami :::...

Phir Chand khula phir raat thami
Phir dil ne kaha ik teri kami
Phir yaad ke jhonkay bhehak gaye

Phir pagal Armaan bhehak uthay

phir jannat see lagti hai zameen
Phir dil ne kaha ik teri kami
Phir ghuzray lamhoon ki batien
Phir jagi jagi see ratien
phir thehar gaye palkoon pe nami
phir dil ne kaha ik teri kami

Friday 27 August 2010

...::: baat ki baat by meer taqi meer :::...

Dare kuch khenchti to kehtay bhi mulaqat ki baat
Milna apna jo huwa us se so wo baat ki baat

Hoti hai agarcha kehnay se yaroo paraye baat
Per hum se to kabhi thami na moun pe aye baat

kehtay thay us se milye to kia kia na kahiye "laik"
Wo aa gaya to samnay na uske aye baat

Hum to hoye hain hum bhi tere dhab se Ashna
Wahan tu ne kuch kaha to idher hum ne paye baat

Aalam Saya khana hai kiska roz-o-shab
yeah shore hai ke deti nahi kuch sunaye baat

Thursday 26 August 2010

...::: Yadoon ka ik jhoonka :::...

Yadoon ka ik jhoonka aya hum se milnay barsoon bad
Pehlay itna roye nahi thay jitna roye barsoon bad

Lamha lamha ghar ujhra hai mushkil se Ehsas huwa hai
Pathar aye barsoon pehlay sheeshay totay barsoon bad

Aaj hamaray huq pe duniya ronay dhonay bethi hai
Phool hoye hain itnay sastay jannay kaisay barsoon bad

Bhool bhi jaoo kis ne torda, kaisay torda, kion torda
Dhoond rahay ho kia ghalioon main dil ke tukray barsoon bad

Dastk ki umeed lagye kab tuk jeetay hain
Kal ka wada kernay walay milnay aye barsoon bad

...::: Batoon Batoon main bhicharnay ka ishara ker ke :::...

Batoon Batoon main bhicharnay ka ishara ker ke
Khud bhi roya buhat wo hum se kinara ker ke

jagmaga dien hain tere sheher ki ghalian hum ne
apnay her ashk ko palkoon pe sitara ker ke

dekh laitay hain chaloo hosla apnay dil ka
Aur kuch roze bina tere ghuzara ker ke

Monday 23 August 2010

...::: Kuch Khawab hain jinko likhna hai :::...

Kuch Khawab hain jinko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch log hain ujray dil walay
jinhien apni muhabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neendien baki hain
jinhien bantna hai kuch logoon main
unko bhi to rahat deni hai
Aye umer-e-Rawan
Ahista chal
Abhi khasa qarz chukana hai

Sunday 22 August 2010

...::: Dinoon ki Qaid se Azad muhabbat :::...

Muhabbat kernay walay Aaj
Izhar-e-Muhabbat ker rahay hain
tumharay hath main jo phool hai isko
Muhabbat ke saheefay main kahien rukh do
Ke izhar-e-Muhabbat ke liye lamhay muqarar nahi hotay
Muhabbat to dinoon ki qaid se azad hoti hai
Muhabbat main riwayat phool dene ki
Buhat hi khoobsurat hai
Magar tum aaj mujh ko phool mut dena
Taqazay meri chahat ke siwa hain kuch
ke mere pyar ki rasmien zamanay se juda hain kuch

....::: Muhabbat unkahay lafzoon main :::...

Muhabbat unkahay lafzoon main...
Chupa ik raaz hai gehra
jaisay gehray samndar main
Chupa ik qeemti moti
Jo lafzoon se Ayan na ho
Jo lafzoon main bayan na ho...
Kahani Muztarab See ik
Qisa Laa-bayan sa ik
Samjhnay ko samjhanay ko
Dil ka hona zaroori hai

...::: Kuch Ashar :::...

Behter hai ise ghar ke kisi Taaq main rukh do
Tota huwa dil le ke kahan janne lagay ho?

Ashob-e-Nazar se bhi pharkti hai kabhi ankh
Tum yeah na samjhna use yaad anay lagay ho

________

Jo udass hain tere hijer main, jinhien bhoj lagti hai zindagi
ser-e-bazm unko dekh ker tera moun chupanay ka shukria

Jo zamanay bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha diya
Yahi rasm tehray gi moutber mujhe bhool jannay ka shukria

________

Wo ik shakhsh ke jis se muhabbtien thien buhat
Hafa hoye to usi se shikiaytien thien buhat

Buhat Aziz thay apnay asool us ko bhi
Humien bhi apni Aana ki zarooratien thien buhat

_________


Hai yeah bhi such ke tere Samnay mujhe barsoon
Koi Rafeeq, Koi kaam bhi na yaad aya

Yeah jhoot bhi nahi hai tujhe jo kal dekha
To kitni dare tera naam bhi na yaad aya

________

Wo Aye bhi to ko0nsa Ehsan ker gay
bethay bethay hum ko parishaan ker gay

______

Apnay khilaf faisla khud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain

Daira war hi to hain ishq ke silsalay tamam
Rah badal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain


________

Meri zindagi ke raaz main ik raaz tum bhi ho
meri bandagi ki Aas main ik Aas tum bhi ho

Tum kia ho mere, kuch ho yan kuch bhi nahi magar
Meri zindagi ke kash main ik kash tum bhi ho

Friday 13 August 2010

Aik Qita By Wasi Shah

Koi Aisa Pal Bhi Huwa Kere

Koi Aisa Pal Bhi Huwa Kere
Main Kahoon To bas wo suna kere

Meri Fursatien Mere Mashghale
Sabhi apne naam likha kere

Koi baat ho kisi shaam ki
koi ziker ho kisi raat ka

Jo sunanay bethoon use kabhi
Wo sunay to sun ke hansa kere

jo main kahoon chaloo us nagar
jahan jugnoon ka hujoom ho

Wo palat ke dekhay meri taraf
Aur mujhko pagal kaha kere

Saturday 17 April 2010

Wo de raha hai dhalasay to umar bhar ke mujhe

Wo de raha hai dhalasay to umar bhar ke mujhe
bicher na jaye phir kahien udass ker ke mujhe

jahan na to na teri yadoon ke qadam hoon gay
Dara rahay hain wohi Merhalay safar ke mujhe

hawaye dasht mujhe ab tu ajnabi na samjh
ke ab to bhool gay rastay bhi ghar ke mujhe

yeah chand Ashk bhi tere hain sham-e-gham lekin
ujalnay hain abhi haal-o-khud seher ke mujhe

Dil-e-tabha tere gham ko Talnay ke liye
Suna raha hai fasanay idher udher ke mujhe

Kuch is liye bhi main us se bicher gaya Mohsin
Wo door door se dekhay tehar tehar ke mujhe