Saturday, 3 December 2011

Na the Kuch To Khuda Tha By Mirza Ghalib





Na tha kuch to Khuda tha, Kuch na hota to Khuda hota
Daboya mujhko hone ne na hota mein to kia hota

Huwa jab gham se youn behis to ghum kia sir katnay ka
Na hota gar juda tan se to zanoon per dhara hota

Hoi mudat ke ghalib mar gaya per yaad ata hai
Wo her baat per kehna ke youn hota to kia hota

Friday, 18 November 2011

Aye Mere Dost - (Nazm)



Aye mere dost
Safar ka kaam hai katna
kat hi jaye ga
Waqt ka kaam hai ghuzrna
ghuzar hi jaye ga
magr rastoon per urti dhool
Mazi per pardnay na dena
apni yaad ke mehwar se
Mujhe nikalne na dena

Aye mere dost
Khwaboon ka dais
banana zaroor
magar haqeeqat ka sath
nibhana zaroor
Kal (anay wala) ke liye
Apna aaj barbad na kerna
Kisi ka dil torde ker
Apna ghar abad na kerna

Aye mere dost
Lakh badlay zamana taiwar
Tum kabhi na badlna
Aaj to mein tumharay sath hoon
Mujhe tum kal bhi yaad rakhna
apni yaad mein kahien
mera bhi makan rakhna
Apne ahad aefa kerna
Apne peeman yaad rakhna

Friday, 4 November 2011

Aye Larki Suno


Aye Larki suno,
Tumhari dilruba ankhien
Jab sharam se jhukti hain
Tumharay hontoon ki hidat se
Tumharay ghaal ki lali
Mujhe sab kuch batati hai
Tumhien kitni mohabbat hai
Tumhien kis ki zaroorat hai
Magar ik ihsaas hota hai
Rishte kitne bhi sache hoon, Jana hi muqadar hai
Ghardi bhar ki mulaqatien, samjho to ghaneemat hai

Thursday, 3 November 2011

Mudtoon se Yahi Aalim


Mudtoon se yahi Aalim na tuwaqa na umeed
Dil pukaray hi chala jata hai janna janna

Hum bhi kia sada the, hum ne bhi samjh rakha tha
Ghum-e-dooran se juda hai ghum-e-Janna janna

Ab ke kuch aisi sajhi mehfal-e-yaaran janna
Ser ba rano hai koi ser be-gireeban janna

Her koi apni hi awaz se kanp uthta hai
Her koi apne hi saye se harasaan janna

Jisko dekho wohi zanjeer paa lagta hai
Shehar ka shehar huwa dakhal-e-zindaan janna

Hum ke roothi hoi rut ko bhi manna laitay the
Hum ne dekha hi na tha mousam-e-hijraan janna

Hosh aya to sabhi khawab the reeza reeza
Jaisay urte hoye awraaq parishaan janna

Tuesday, 25 October 2011

Ab yeah Sochoon to By Mohsin Naqvi



Ab yeah sochoon to bhanwar zahan mein par jatay hain
kaisay chehray hain jo milte hain bichar jatay hain

Kion tere durd ko dien tuhmat-e-weerani-e-dil?
Zalzaloon mein to bharay shehar ujar jatay hain

Mousam-e-durd mein ik dil ko bachaoon kaisay???
Taiz andhi mein to khaimay bhi ukhar jatay hain

Soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath
chand chehroon ke khad-o-khaal bigar jatay hain

Shidat-e-ghum mein bhi zinda hoon to hairat kaisi???
Kuch diye tund hawaoon se bhi larde jatay hain

Wo bhi kia log hain "Mohsin" jo wafa ki khatir
Khud Tarasheeda asooloon pe bhi urd jatay hain


Thursday, 20 October 2011

Dua


Raat ke pursakoon lamhoon mein
Jab kabhi teri yaad ati hai
Us ghardi Khuda-e-barter se
Teri Khushioon ki bheek mangta hoon
Mein dua goo hoon tere saray ghum
Meri kismat mein saray aa jaien
Mere hisay ki mumkana Khushiyan
Tere hisay mein sari aa jaien.

Tuesday, 18 October 2011

Kahien se tera sath le Aaoon


Kahien se tera sath le Aaoon
Wasl ki chand raat le aaoon
Beth jaoon kisi doorahay per
Mang ker tera hath le aaoon
Kitni sadiyoon ke baad bolo mein
Lab pe aik teri hi baat le aaoon
Apni aankhoon ki band ghalioon se
Aansoon ki barat le aaoon
Itni pooja keroon ke mein ik din
Apni zaat mein teri zaat le aaoon

Impossible By Wasi Shah



Jitni Duien Ati thien
Sab mang lien hum ne
Jitne wazeefay yaad the saray
ker bethe hain
kai tarah se jee dekha hai
Kai tarah se mar bethe hain
Lekin Janna!!!
Kisi bhi surat
Tum mere ho ker nahi dete!!!

Sunday, 16 October 2011

Dua


Mujhe Zindagi ki dua na de
Meri zindagi se bani nahi
Koi zindagi pe kere yakeen
Mujhe zindagi pe yakeen nahi

Saturday, 15 October 2011

Bara Dushwaar Hota Hai - Urdu Nazam



Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisla kerna
Ke
Jeevan ki kahani ko
Bayan-e-be-zubani ko
kahan se yaad rakhna hai
Kahan se bhool jana hai
kise kitna batana hai
Kis se kitna chupana hai
Kahan ro ro ke hasna hai
Kahan hans hans ke rona hai
Kahan awaz deni hai
Kahan khamosh rehna hai
Kahan rasta badlna hai
Kahan se lout ana hai
Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisla kerna

Thursday, 13 October 2011

Kon Kehta Hai Mohabbat Azeem Hai



Kon kehta hai mohabbat azeem hai??
yeah kis ne keh diya?
Ke Mohabbat azeem hai
Mohabbat to bas chand be-tarteeb lafzoon ki tarmeem hai
Mohabbat jab rag-o-pe mein utar jaye
Aur manand khanjar dil mein utar jaye
To laho mangti hai
Jab ankhoon ki dhool ban jaye
Aur rishtoon ki bhool ban jaye
To Abroo mangti hai
Mohabbat wo saheefa hai ke jise
gar samjh ke parde lo
To khushboo ki tarah
Zahan-o-dil ke dareechoon mein jhankay
aur jahan kisi lafz per ruk jaoo
To justju mangti hai
bahar ki shaguftgi cheen laiti hai jo
un khizaan rutoon ki tehreem hai
Aur masoom ankhoon ko jo milte hain
un Azzaab khwaboon ki taqseem hai
kis ne kaha ke???
Mohabbat bad-e-naseem hai
yeah to bas chand lafzoon ki tarmeem hai
Ghamoon ki tehreem hai
Kon kehta hai Mohabbat Azeem hai ...???

Yeah Dil Yeah Pagal Dil Mera By Mohsin Naqvi




Yeah Dil Yeah Pagal Dil Mera kion bujh gaya awargi
Is dasht mein ik shehar tha wo kia huwa awargi

Kal shab mujhe Be-shakal see awaz ne chunka diya
Mein ne kaha tu kon hai us ne kaha awargi

ik tu ke sadiyoon se mere humrah bhi humnawaz bhi
Ik mein ke tere naam se na-Ashna Awargi

Yeah durd ki tanhayian yeah dasht ka weeran safar
Hum log to ukta gay apni suna awargi

Ik ajnabi jhonkay ne jab poocha mere ghum ka sabab
Sehra ki tapti rait per mein ne likha awargi

Le ab to dasht-e-shab ki sari wastien sonay lagien
Ab jagna ho ga humien kab tuk bata awargi

Kal raat tanha chand ko dekha tha mein ne Khawab mein
"Mohsin" Mujhe raas aye gi shayad sada awargi

Wednesday, 12 October 2011

Ab ke yoon Dil Ko Saza Dee Hum Ne


Ab ke yoon Dil Ko Saza Dee Hum Ne
Uski her baat bhula dee hum ne......

Aik Aik Phool buhat yaad aya
Shakh-e-Gul jab jalla dee hum ne

Aaj phir yaad buhat aye wo
Aaj phir uski Dua dee hum ne

Koi to baat us mein bhi hai "Ehsan"
Her Khushi Jis pe lutta dee hum ne

...::: baat ki baat by meer taqi meer :::...

Dare kuch khenchti to kehtay bhi mulaqat ki baat
Milna apna jo huwa us se so wo baat ki baat

Hoti hai agarcha kehnay se yaroo paraye baat
Per hum se to kabhi thami na moun pe aye baat

kehtay thay us se milye to kia kia na kahiye "laik"
Wo aa gaya to samnay na uske aye baat

Hum to hoye hain hum bhi tere dhab se Ashna
Wahan tu ne kuch kaha to idher hum ne paye baat

Aalam Saya khana hai kiska roz-o-shab
yeah shore hai ke deti nahi kuch sunaye baat

Ho Gayee Rukhsat Ghatta Barish Ke Baad

Ho Gayee Rukhsat Ghatta Barish Ke Baad
Ik Diya Jalta Raha Barish Ke Baad

Mairay Behtay Aansoon Ko Dekh Ker
Ro Pari Thandi Hawa Barish Ke Baad

Mairy Tanhaye Ka Daman Thaam Ker
Kuch Udassi Ne Kaha Barish Ke Baad

Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya
Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Ke Baad

Chand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad

Apnay Kachay Ghar Ki Her deewar Per
Naam Tera Likh Deya Barish Ke Baad.

Tuesday, 11 October 2011

...::: Kuch Ashar :::...

Behter hai ise ghar ke kisi Taaq main rukh do
Tota huwa dil le ke kahan janne lagay ho?

Ashob-e-Nazar se bhi pharkti hai kabhi ankh
Tum yeah na samjhna use yaad anay lagay ho

________

Jo udass hain tere hijer main, jinhien bhoj lagti hai zindagi
ser-e-bazm unko dekh ker tera moun chupanay ka shukria

Jo zamanay bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha diya
Yahi rasm tehray gi moutber mujhe bhool jannay ka shukria

________

Wo ik shakhsh ke jis se muhabbtien thien buhat
Hafa hoye to usi se shikiaytien thien buhat

Buhat Aziz thay apnay asool us ko bhi
Humien bhi apni Aana ki zarooratien thien buhat

_________


Hai yeah bhi such ke tere Samnay mujhe barsoon
Koi Rafeeq, Koi kaam bhi na yaad aya

Yeah jhoot bhi nahi hai tujhe jo kal dekha
To kitni dare tera naam bhi na yaad aya

________

Wo Aye bhi to ko0nsa Ehsan ker gay
bethay bethay hum ko parishaan ker gay

______

Apnay khilaf faisla khud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain

Daira war hi to hain ishq ke silsalay tamam
Rah badal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain


________

Meri zindagi ke raaz main ik raaz tum bhi ho
meri bandagi ki Aas main ik Aas tum bhi ho

Tum kia ho mere, kuch ho yan kuch bhi nahi magar
Meri zindagi ke kash main ik kash tum bhi ho

Saturday, 23 April 2011

Khoobsurat By Bushra Rehman

ik aur buhat accha urdu novel Khoobsurat By Bushra Rehman hazir-e-hidmat hai, yahan hum iska preview paish ker rahay hain is novel ko download kerne ke liye yan online read kerne ke liye aapko neechay diye gay link pe jana paray ga

click here to read or download this novel Khoobsurat By Bushra Rehman

Wednesday, 13 April 2011

Parsa By Bushra Rehman

urdu novel parsa is one of the best urdu novel written by Pakistan's famous female write bushra rehman. is pe aaj kal drama bhi ban chuka hai aur ik local pakistani tv channel pe chal raha hai here is the link to download and read this fantastic urdu novel



click here to read or download this novel Parsa By Bushra Rehman

Sunday, 13 February 2011

Ik Share



تمہیں میری محبت کی قسم, سچ سچ بتا دینا
گلے میں ڈال کر باہیں , منانا کس سے سیکھا ہے

Wednesday, 2 February 2011

...:::Main Ne Poocha Kaisay Ho:::...


Main Ne Poocha Kaisay Ho?
Badlay Ho Yan Waisay Ho?

Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Main Koi Kami?

Hijer Ka Kuch Ihsaas To Ho ga
Koi tumharay pass to ho ga?

Main bichra yeah majboori thi
Kab manzoor mujhe doori thi

Sath Hamara Kab choota
Rooh ka rishta kab toota

Ankh se jo Aansoo behte hain
Tum ko khabar hai kia kehte hain?

Main ne kaha awaz tumhari
Aaj bhi hai humraaz hamari

Phool Wafa ke khil jaien gay
Ik din hum phir mil jaien gay...


Tuesday, 4 January 2011

...:::Naye Dinoo Ke Naye Safar Main:::...

Naye Dino Ke Naye Safar Main Dheean Rakhna
Khamosh, Chup Chap
Kuch Na Kehti In Saytoo'n Ne
Sonp Dalay Naye Taqazay Rafaqtoo'n Ke
Dheean Rakhna
Ke Apne Hisay Ke Sab Taqazay Nibahne Hain
Sath Chalte Hoye Safar Main
Her Ik Dagar Pe Chahtoon Ke Ghulab Likhna
Warq Warq Aetmad Jis Main
Harf Harf Main Ho Jaannisari
Nayi Khushian, Naye Munazir
Nayi Misalien, Naye Hawalay
Bas aik aisi hi muhabtoon ki kitab likhna
naye dinoo ke naye safar main...